Wednesday, June 29, 2011

Jane Kyun

JANE KYUN......

Sab to hai pass mere phir
ye aakelapan kyun hai...
sab to hain sath mere par,
ye khali pan kyun hai....
kyun jinda hun sirf jeene k liye,
anjani si ye ghutan kyun hai...
ye oojhal si beriyan kyun jakrein hai mere paaon ko...
dil mein ye uljhan kyun hai...
Chahta hun phir urrun aasmaan mein nischal ho kar,
par ye anjana sa wazan kyun hai...
log kehte the humein aawara kabhi,
kahin kho gaya lagta humara aawarapan kyun hai....

JANE KYUN......JANE KYUN....

Tuesday, February 22, 2011

Beenaam Sa ye dard, thahar q nahi jata,
Jo beet gaya hai wo gujar q nahi jata,
Sab Kuch to hai kya dhundhti rehtin hain nigahein,
Kya baat hai mein waqt pe ghar kyun nahi jata...
Wo ek hi chehra to nahi sare jahan mein,
jo dur hai wo dil mein utar kyun nahi jata...
Main apni hi uljhi hui rahon ka tamasha dekhta hun,
jate hain sab jidhar main udhar kyun nahi jata...
Wo naam jo na jane kab se, na chehra na badan hai,
Wo khaab hai agar to bikhar kyun nai jata....
Beenaam Sa ye dard, thahar q nahi jata.......